Ver video ' RANSOMWARE Explained | How to be Safe?' \rĪbout : Technical Guruji is a YouTube Channel, where you will find technological videos in Hindi, New Video is Posted Everyday :) Mujhe umeed hai ki yeh video aapke kaam aayegi, aur aapko pasand bhi aayegi. Ransomeware attacks bahut hi serious attacks hai, aur aapka ransomware ke baare mein jaan na bahut hi jaruri hai. Ransomware ek tareh ka malware hai jo aapke computer mein aake aapki sabhi files ko encrypt kar deta hai aur aap unhe use nahi kar paate, ek tareeke se aapke computer pe lock laga diya jaata hai kisi hacker ke through, aur aapko baad mein ek RANSOM pay karni hoti hai decryption key access karne ke liye. Waise toh maine aap sabhi ke liye ek video pehle se hi banayi hai jisme maine apko tareh tareh ke malwares ke baare mein bataya hai jaise virus, trojan aur worms, magar yeh video sirf Ransomware ke baare mein hai. Namaskaar Dosto, is video mein maine aapko Ransomware ke baare mein bataya hai, ho sakta hai ki aapne Ransomware ke baare mein aaj tak kabhi na suna ho, ya agar suna ho toh theek se pata na ho ki ransomware kya hota hai.